kohram ajab aale mohamed may bapa hai
ab sibte nabi behre bagha ran ko chala ha
lipti hui daman se ye kehti thi sakina
mai jaane nahi doongi ye ran dashte bala hai
kohram ajab aale mohamed…
jo bhi gaya wo laut ke ghar may nahi aaya
qasim ka na akbar ka na ammu ka pata hai
kohram ajab aale mohamed…
asghar hai kahan aap gaye thay unhe lekar
kya wo bhi giraftar-e-bala ran may hua hai
kohram ajab aale mohamed…
aap aaye hai ruqsat ke liye faisla karke
kyun zuljana-e-shaah bhi deodi pe khada hai
kohram ajab aale mohamed…
mai jaa ke lipat jaaungi paon se jo uske
jaayega na rehwaar agar kuch bhi haya hai
kohram ajab aale mohamed…
goya hue lipta ke sakina ko ye shabbir
jo kuch bhi kaha tumne meri laal baja hai
kohram ajab aale mohamed…
ham jaate hai lene ke liye pani jo mil jaaye
beti ko meri tashnagi ab hadh se siva hai
kohram ajab aale mohamed…
farmaya tadap kar ye sakina ne ke baba
pani ka na lo naam mujhe marna rawan hai
kohram ajab aale mohamed…
baba na kabhi maangungi mai ab pani kisi se
is pani ki khaatir hi chacha mujhse chuta hai
kohram ajab aale mohamed…
ruqsat ka anees haal raqam kis tarha hoga
ab gham se qalam bhi to lahoo dena laga hai
kohram ajab aale mohamed…