Kanz e Aza

Kohraam mach gaya

A noha for Imam Hussain (a.s) (2011). Lyrics in Roman Urdu.

Kohram mach gaya


Alwida Alwida

qaime may aake shah ne jab alwida kaha


kohraam mach gaya


tha jiska intezar wo sa'ath qareeb hai

din dhal raha hai shame musibat qareeb hai

kuch dayr ki hai baat qayamat qareeb hai

zainab ghareeb bhai ki ruksat qareeb hai

ye keh ke maanga maa ka jo kurta sila hua


kohraam mach gaya...


kuch door hatke qaime may bole shahe zaman

zehmat na ho baazu badhao behan

mai bosay loo wo haath ke bandhegi jahan rasan

baazu badha ke roti thi hamsheer khastatan

bhai behan ke baazu ko choomne laga


kohraam mach gaya...


ye sunke binte fathema zehra tadap gayi

boli gala badhao bas jald ab ya aqi

amma ki baat aaj mujhe yaad aagayi

mai bosay loo wahan ke jchalegi jahan churi

zainab ne badke chooma baradar ka jab gala


kohraam mach gaya...


beti se phir ye kehne laga fatema ka laal

rehna phupi ke paas rakhengi tera khayal

ghurbat hai tum phupi se na karna koi sawaal

warna tere padar ko bahot hoyega malaal

phir sar pe haath rakh ke jo dene lagay dua


kohraam mach gaya...


beti ko jab supurde behan kar chuke imam

rokar behan se kehne lagay aasman maqam

jaana watan jo qaid se chutkar ay tishnaqam

kehna lehad pe maa ki mera aakhri salam

aaya jo lab pe fatema zehra ka taskira


kohraam mach gaya...


abid se phir ye kehne lagay shahe karbala

bewaon ka aur yateemo ka ab tum ho aasra

jo imtehan mera tha sab maine dediya

aagay tera jihad hai bemaare karbala

bemaar beta baap se jis dam juda hua


kohraam mach gaya...


qaime se baahar aaye jo sultane karbala

sar ko jhukaye hue rota tha khud aspe bawafa

ab kis tarha sawaar ho zehra ka laadla

tanhai ke siwa koi yawar nahi bacha

jab suye nehr dekh ke ghazi ko di sada


kohraam mach gaya...


bhai ko tanha dekh ke zainab tadap gayi

roti hui hussain ke nazdeek aa gayi aur phir raqaab thaam ke boli ay shahe deen

lo mai sawaar karti hoo abbas gar nahi

wayiz hua sawaar jo zehra ka laadla


kohraam mach gaya...