nisaar kar chuke jab raahe haq mein asghar ko
tab aaye qaime mein sheh ruqsate muqarrar ko
bayaan kaise karoon bekasi ke manzar ko
thi pesh manzilein dushware ibne hyder ko
koi na tha jo karata sawaar sarwar ko
bithaya ghode pe hamsheer ne biradar ko
har ek bibi ka dil gham se tha taho-bala
na koi monis-o-yawar na godh ka paala
koi lipat'ti thi daaman se karti thi naala
khade thay sar ko jhukaye huwe shahe wala
koi na tha jo karata…
buland hoti thi qaime se al-atash ki sada
sakina kehti thi maqtal se jald aao chacha
kabhi pukarti koi ke aao shere khuda
madad ka waqt hai shabbir ho rahe hai juda
koi na tha jo karata…
pukari zainab-e-muztar kahan ho ay akbar
akela fauje adoo mein chala nabi ka pisar
khabar na loge chacha ki ay qasim e mustar
kahan pe hai mera shere jari wafa paykar
koi na tha jo karata....
ye nauha karti thi maqtal mein zainab-e-kubra
bachane waala koi mere bhai ka na raha
gulu bureeda se deta tha har shaheed sada
mile hayaat to phir ho hazaar baar fida
koi na tha jo karata…
kaha hussain ne zainab se alvida hamsheer
bula rahe hai paye jang kab se bepeer
khayal rakhna sakina ka hai bahut hi sagheer
muaf karna jo karde kabhi koi tafseer
koi na tha jo karata…
lajaam thaam ke ghode se bole ye shabbir
hamare saath hai zulm o sitam ka tu bhi aseer
safar hai aakhri tujh par mera ye ay dilgeer
tuhi hai munis-o-ghamkhwar mera waqte akheer
koi na tha jo karata…
imam-e-waqt se jab zuljana ne ye suna
zubaan e haal se wo bezuban huwa goya
huzoor aap pe sau baar meri jaan fida
zehe naseeb ke ye farz aap ne sawmpa
koi na tha jo karata…
mai jaanta hoo ke ye aakhri sawari hai
karoo jihad ye khud mujhko beqarari hai
sumon se lipti hui aap ki dulaari hai
mere padar ko na leja ye lab pe jaari hai
koi na tha jo karata…
anees ruqsate aakhir ke waqt tha mehshar
koi to peet'ti thi seena koi bibi sar
kabhi pukarti thi apne pyaro ko ro kar
kahan pe ho zara ye haal dekh lo aa kar
koi na tha jo karata…