Kanz e Aza

Wallah

A noha for Moula Abbas (a.s), written by Anees. Lyrics in Roman Urdu.

wallah inkhattam yamani

jab daana haath dilbare hyder ka kat gaya

us waqt fauje aada se abbas ne kaha

wallah inkhattam yamani


bache khade hai pyase mere intezaar mein

pahuncha'unga qayam mein mashkeeza aab ka

wallah inkhattam yamani


allah ki qasam jo mujhe hota izn e jang

kar deta ek hamle mein lashkar ko mai tabah

wallah inkhattam yamani


pahuncha doo pyase bachon ko pani kisi tarha

tukde badan ho chahe katay sar ghulam ka

wallah inkhattam yamani


ay zaalimo khuda se daro kuch haya karo

pyasi hai teen roz se aulaad e mustufa

wallah inkhattam yamani


mashk o alam ko daanto se thaama dilayr ne

jab baaya haath ghazi ka tan se juda hua

wallah inkhattam yamani


lagte hi gurz sar pe wo khamosh hogaye

lekin fiza mein goonjti thi abbas ki sada

wallah inkhattam yamani


ab saare bain padke ye samjha anees ne

abbas ke rag rag mein dileri hai aur wafa

wallah inkhattam yamani