wo dekho pani aa raha hai
parcham hawa may lehra raha hai
wo dekho pani aa raha hai
dekho alam hai darya se aata
ab na rahega koi bhi pyasa
parcham hawa maay lehra raha hai
wo dekho pani...
boli sakina nazdeek aao
ay pyase bachon kooze uthao
baba chacha ko ghar laa raha hai
wo dekho pani...
jo sab se chota ghar may hai baccha
pehle usi ko pani milega
asghar hai pyasa ghabra raha hai
wo dekho pani...
halqa bana lo kooze utha lo
jo so gaye hai unko jaga lo
khud chal ke darya ab aa raha hai
wo dekho pani...
jee bhar ke tum sab pani ko peena
aakhir may sab se bali sakina
pani piyegi waada raha hai
wo dekho pani...
kehte thay aada pani na denge
khush ho ke ab hum pani piyenge
lashkar yazeedi sharma raha hai
wo dekho pani...
nade ali ko mashk o alam par
dam karti rehti thi mai jo aksar
uska asar ab rang laa raha hai
wo dekho pani...
dekho zameen pe girne na paaye
pani chacha hai mehnat se laaye
waqt e museebat ab jaa raha hai
wo dekho pani...
pani sakina tum sab ko dena
baba se lekar mashkeeza apna
ghazi ka beta samjha raha hai
wo dekho pani...
aaya alam to boli sakina
ay pyase bacho mushkil hai jeena
mera ye kehna rulwa raha hai
wo dekho pani...
pani kahan ka ab pyaas kaisi
ummeed kaisi ab aas kaisi
mujhko ye jumla sharma raha hai
wo dekho pani...
rehaan o mesum kya tha wo manzar
bachon se kehte thay jab sitamgar
ab bolo ghazi ghar aa raha hai
wo dekho pani...