ghurbat mein thay jo shaah ki behno ka aasra
wo haath kat gaye
pehra sada jo dete thay zahra ki aal ka
wo haath kat gaye
khushiyan manao shaam lashkar mein shor tha
ab hum ko koi rokne waala nahi bacha
lo hogaya hussain ki ghurbat ka faisla
wo haath kat gaye...
haste thay shaami dekh ke aansu hussain ke
haye shikasta hogaye baazu hussain ke
tooti kamar jo shaah ki lashkar samajh gaya
wo haath kat gaye...
maidan mein hussain ko jinki talaash hai
do haath hai ya sheh ke bhare ghar ki laash hai
is ghar ke pardedaron ne samjha unhe rida
wo haath kat gaye...
rukh kar ke ye madine ka abbas ne kaha
amma muaaf karna mai majboor ho gaya
ab tak rahe imam ke qadmon pe jo sada
wo haath kat gaye...
akbar tadap rahe hai mera dil hai beqarar
ro ro ke shaah kehte thay zainab se baar baar
laasha utha ke laate jo kadiyal jawan ka
wo haath kat gaye...
hai teer aankh mein meri rasta bataiye
ghazi pukara mashke sakina bachaiye
baba najaf se aaiye imdaad ko zara
wo haath kat gaye...
hasrat se dekhti hai sakina suye faraat
do haath bhi tadapte hai laashe ke saath saath
jo haath rok sakte thay shimre layeen ka
wo haath kat gaye...
qasid ki baat par to takallum yaqeen na tha
dekhe jo neel haathon pe zainab ke jaa ba jaa
aakhir yaqeen maadar e ghazi ko aagaya
wo haath kat gaye...