ekkeesvi ramzan hai ashoor e moharam
hota hai bapa hyder e karrar ka matam
sar peet ke hasnain ne masjid mein pukara
zaalim ne ali ko nahi maara hamay maara
baba ka lahoo maahe mubarak mein bahaya
zaalim ne hamay eid ke nazdeek rulaya
sar sher e khuda ka hua masjid mein do paara
zaalim ne ali ko...
kis tarha se bin aap ke jee payegi zainab
tanhaai se pardes mein mar jayegi zainab
baba yun hamay chod ke jaayein na khudara
zaalim ne ali ko...
jibreel sada deta hai sidra se tadap kar
talwaar chali sajde mein damaad e nabi par
ashoor sa hai masjid e kufa ka nazaara
zaalim ne ali ko...
ek shor hai phir ujda hai sadaat ka kunba
dunya se safar karta hai hasnain ka baba
zahra ke yateemon pe qayamat hai dobara
zaalim ne ali ko...
maula ki khabar sunte hi mar jayenge bacche
is aalame ghurbat mein kidhar jayenge bacche
ab kaun hai kufe ke yateemon ka sahara
zaalim ne ali ko...
kya likhe takallum jo shahadat ka tha manzar
band aankhein hui godh mein zainab ki raha sar
khaalik ki taraf laut gaya maula hamara
zaalim ne ali ko...