Kanz e Aza

Zahra Kay Ghar Mein Dekho

A noha for Imam Ali (a.s). Lyrics in Roman Urdu.

Zahra Kay Ghar Mein Dekho Manzar Hai Kerbala Ka


Kufa Say Uth Raha Hay Taboot Murtaza Ka


Kufa Pay Chaa Gaee Hain Haey Zulm Ki Ghataeyn

Baqiya Say Arahi Hain Ronay Ki Phir Sadaeyn

Hilnay Laga Hai Roza Sultan-e-Ambiya Ka


Roya Tha Falak Us Par Roti Rahi Khudaai

Moula Nay Jub Wasiyat Abbas Ko Sunaee

Ghazi Hai Tu Muhafiz Zainab Ki Ub Rida Ka


Moula Kay Janazay Ko Hasnain Nay Uthaya

Zainab Ki Sadaaon Nai Kufay Ko Haey Hilaya

Logo Hai Yeh Janaza Damaad-e-Mustafa Ka


Badlay Hain Kis Tarha Say Andaaz Musalman Nay

Zalim Hai Kufi Shaami Daikha Hai Is Jahan Nay

Masjid Mei Khoon Bahaya Ummath Kay Payshwa Ka