Kanz e Aza

zahra nahi ghar me

A noha for Shehzadi Fatima (s.a). Lyrics in Roman Urdu.

fizza se ye farmate the rokar shahe mardaa'n zahra nahi ghar me

dunya se uthi fatima ghar ho gaya veeraa'n zahra nahi ghar me

yaad aaegi zahra to alam dil pe sahunga, bechain rahunga

mujh se na raha jaaega ek lehja bhi ab yaa'n zahra nahi ghar me


dekha nahi jaata hai in atfaal ka rona, mu ashko se dhona

maa ke lie bache mere har waqt hai giryaa'n zahra nahi ghar me

do betiya do bete gayi chord ke zahra, koi nahi unka

kis tarah pale mujhse ke chaaro bhi hai naadaa'n zahra nahi ghar me


yaad ati hai har waqt mujhe binte payambar, gham hota hai dil par

ghar dekh ke kyu rou na mai roz har ek aa'n zahra nahi ghar me

pehlu pe wo sadma hua do paslia tooti, aur mujh se wo chooti

ab kisko sataayenge sitamgaar har ek aa'n zahra nahi ghar me