Zahre Dagha Shaheed Imame Raza Huwa
Bekas Pe Kaisa Zulm Lainoun Ne Dadiya
Bazar-e-Sham Hazrat-e-zainab Ke Naam Par
Sari Hayat Roya Jo Pyase Imam Par
Pal Bhar Sukun Laienon Ne Usko Nahi Diya
Uthta Tha Uth Ke Girta Tha Muztar Zamin Par
Tukde Jigar Ke Girte The Kat-Kar Zamin Par
Agha Mera Imam Tadap Tha Hi Reh Gaya
Tukde Jigar Ke Dekh-Kar Kehti Thi Sayyada
Allaha Mere Laal Par Kaisa Sitam Huwa
Barbad Zehra Hogayi Va-e-Musibata
Bechain Fatima Hai Pareshan Murtuza
Gham Se Nidal Ho Gaye Ibne Ali Reza
Syed Ko Zalimoun Ne Zaher Beqata Diya
Rahebar Humara Aat-Waan Dunya Se Chal Basa
Matam Karo Aye Momino Zehra Ke Laal Ka
Har Simt Se Raza Hi Raza Ki Uthe Sada
Jafar Ghame Hayat Ho Shabbir Par Fida
Moula Raza Gharib Se Karta Hun Mai Duwa
Karlo Qubul Nouha Vizarat Ka Murtuza