Toos ki hawaao'n me hai ye kaise bechaini
Har taraf fazaao'n me hai ye bekali kaisi
Goonjti hain ghar ghar me ab sadaae'n Maatam ki
Us Imam ke Gham me sab ki aankh hai purnam
Aaj hai Khuraasa'n me Ek Ghareeb ka Maatam
Ek Ghareebo Bekas ko Kisne zehr dedala
Us Imame Hashtum par hogaya sitam kaisa
Karwatein badalte hain khaak par Shahe Wala
Dil ko thaam kar Moula khaak ugalte hain paiham
Aaj hai Khuraasa'n me Ek Ghareeb ka Maatam
Aaj Dilbare Kazim Hamse hogaya rukhsat
Kya baya'n kare koi is Ghareeb ki haalat
Kaisi hai ye tanhaayi haay kaisi hai Ghurbat
Ab watan se doori hai bekasi ka hai aalam
Aaj hai Khuraasa'n me Ek Ghareeb ka Maatam
Hota hai do aalam meGham Imame Zaamin ka
Kar rahe hain sab Maatam sab ke lab pa hai Nouha
Lo Janaza uthta hai aaj Uska waawaila
Tha na Jiska Ghurbat me koi Moniso Hamdam
Aaj hai Khuraasa'n me Ek Ghareeb ka Maatam
Ek Bahan pa toota hai Bhai ka ye Gham kaisa
Khaak udaake Roti Hain aaj Qum ki Maasooma
Keh rahi hain roroke Margaya Mera Bhayya
Kya karu'n Main ab jeekar kaun hai MeraHamdam
Aaj hai Khuraasa'n me Ek Ghareeb ka Maatam
Aagaya Taqi par hai Daor ab Yateemi ka
Kamsini ke aalam me haay karb hai kaisa
Sar se uth gaya Unke aaj Baap ka Saaya
Us Imam ko Pursa dete hain Rasheed ab Ham
Aaj hai Khuraasa'n me Ek Ghareeb ka Maatam