Aye Fatima ke Lal Tujhe aakhri Salaam
Tujhko Wida karne ko aaye hain ye ghulam
Kaisi udaasiya'n hain ye ghurbat ka waqt hai
Ham par ye aaj kaisi musibat ka waqt hai
Bazme Aza se Aapki Rukhsat ka waqt hai
Rounaq Hamare ghar kina Le Jaaiye Imam
Aye Fatima ke Lal Tujhe aakhri Salaam
HamShakl e Mustafa Ali Akbar ki wo Azaa'n
Tadpaati hainHame Ali Asghar ki hichkiyaa'n
Ab chhaa rahi hain haay ye kaisi knamoshiyaa'n
Ayyaam ye Aza ke huwe jaate hain tamaam
Aye Fatima ke Lal Tujhe aakhri Salaam
Ummul Bani'n ka Laal Alamdaar e Karbala
Seene me jiske ghut gaya arma'n jihad ka
Shaane bhi uske katt gaye mashkeeza chhid gaya
Maatam karenge roenge Ham zindagi tamaam
Aye Fatima ke Lal Tujhe aakhri Salaam
Ab bhi lahu rulaati hai Akbar ki tashnagi
Abbas aur Sakina ki Asghar ki tashnagi
Tu ne bujhaayi pyaas me khanjar ki tashnagi
Aankhon me leke aaye hain Ham aansuon ke jaam
Aye Fatima ke Lal Tujhe aakhri Salaam
Khaimo'n ki aag aur wo har simt shor o shain
Wo Al Atash ki goonj wo kamsin labon ke bain
Durre tamaanche aur wo har lab pa Ya Hussain
Aankhon me ab bhi baaqi hai wo Karbala ki Shaam
Aye Fatima ke Lal Tujhe aakhri Salaam
Akbar Salam Aye Ali Asghar Tujhe Salaam
Farwa ke Chaand Qasim e Muztar Tujhe Salaam
Abbas Aye Hussain ke Lashkar Tujhe Salaam
Aye Bekas o Ghareeb Mere Tashna Lab Imaam
Aye Fatima ke Lal Tujhe aakhri Salaam
Bas Tere Gham ke sadqe me izzat Hame mili
Moula Tera karam hai Teri banda parwari
Tujh ko Hamari fikr thi rukhsat ke waqt bhi
Ham bekason tak aagaya Moula Tera Salaam
Aye Fatima ke Lal Tujhe aakhri Salaam
Moula ye hai Rasheed Shaheedi ki iltija
Pohnchaade Ham Ghulaamo'n ko ab jald Karbala
Maatam karenge phir Tere Raoze pa hamTera
Ham se na ho saki Teri khidmat Shahe Anaam
Aye Fatima ke Lal Tujhe aakhri Salaam