Azaae shaah ke aaye zamaane
karo maatam shahe mazloom ka (2)
utar aaye malak aankhei'n bichaane
Azaae shaah ke aaye zamaane
karo maatam shahe mazloom ka (2)
Azaae shaah ke aaye zamaane
1) Hui aamad shahedee'n ki dakan me
hai maatam shaah ka haar anjuman me
qiza chaati hai ahmad ke chaman me
karo maatam shahe mazloom ka
2) Hue hai karbala waale jo mehmaa'n
aza-e-shaah ke hote hai saamaa'n
karo tum chaak apne ab garebaa'n
karo maatam shahe mazloom ka
3) Ye kaisi rounaqe bazme azaa hai
ye dunya kis ke gham me ghamzada hai
yahi maatam zamaane ki baqa hai
karo maatam shahe mazloom ka
4) Tamanna-e-dile zainab yahi hai
yahi to haasile sad zindagi hai
yahi nusrat ghame shabbir ki hai
karo maatam shahe mazloom ka