FATIMA KI JAAN SARWAR AB TERA KHUDA HAFIZ
JAAN-E-FATAHE KHAIBAR AB TERA KHUDA HAFIZ
Aye Rasool ki tasveer jaan-o-Dilbar-e-Shabbir
Tashnalab Ali Akber ab tera khuda hafiz
Umr bhar rulayenge teri laash ke tukde
Jaan-o-Dilbar-e-Shabbar ab tera khuda hafiz
Tujhse thi haram ki aas tujhse tha bharam Abbas
Aye Hussain ke lashkar ab tera khuda hafiz
Hum na bhool payenge teri tishnagi Asgher
Aye Rabab ke dilbar ab tera khuda hafiz
Har sitam sahe toone sabr aur khamooshi se
Aye Hussain ki dukhtar ab tera khuda hafiz
Hogayi rasan basta sar se chhin gayi chaadar
Aye Hussain ki khwahar ab tera khuda hafiz
Ye saleeqa majlis ka tune humko sikhlaya
Bint-e-Saqi-e-Kausar ab tera khuda hafiz
Dil hamare rote hain ghar udaas hote hain
Kaise hum karen Sarwar ab tera khuda hafiz
Ilteja ye sunle tu ho qubool ye aansoo
Aye Atash ke paighambar ab tera khuda hafiz
Hai Rasheed ka nauha kar qubool aye Aaqa
Aye Batool ke dilbar ab tera khuda hafiz