Kanz e Aza

Hussain Hote Hai

A noha for Widaye Ayyam e Aza, written by Raza Ali Khan Lakhnavi. Lyrics in Roman Urdu.

dilon ki ghair hai haalat kaho khuda hafiz

luta ke ashkon ki daulat kaho khuda hafiz

hai aaj roz e qayamat kaho khuda hafiz

bujhi hai shamme imamat kaho khuda hafiz

hussain hote hai ruqsat kaho khuda hafiz


musafiron ka moharram manalo ahle aza

jo aag dil mein lagi hai bujhalo ahle aza

tum apni aankhon mein aansu sajalo ahle aza

hai ek raat ki zehmat kaho khuda hafiz

hussain hote hai ruqsat...


jo sayyeda se hai waada usay wafa kar do

aza e sipte payambar par dil fida kar do

gham e hussain manane ka haq ada kar do

nahi to hogi shikayat kaho khuda hafiz

hussain hote hai ruqsat...


baha ke ashk dil e fatema ko shaad karo

dil e rasool ki poori har ek muraad karo

laga tha seena e akbar pa zakhm yaad karo

milegi qalb ko raahat kaho khuda hafiz

hussain hote hai ruqsat...


alam utha ke alamdar ko karo ruqsat

zameen pa baith kar beemar ko karo ruqsat

saron ko peet kar sardar ko karo ruqsat

bana ke nanhi si turbat kaho khuda hafiz

hussain hote hai ruqsat...


sajao nanha sa taboot sheh ke asghar ka

alam uthao padho marsiya bahattar ka

saron pe taaziya rakho nabi ke dilbar ka

yehi hai ajre risalat kaho khuda hafiz

hussain hote hai ruqsat...


udao khaak saron par hussain jaate hai

lutao ashkon ke gauhar hussain jaate hai

hamare ghar se bahattar hussain jaate hai

baha ke ashk e nidamat kaho khuda hafiz

hussain hote hai ruqsat...


aza e shaah ki raunaq jo ghar se jayegi

alam ki yaad hamein saal bhar satayegi

uthega taaziya ghar se to saat jayegi

imambadon ki zeenat kaho khuda hafiz

hussain hote hai ruqsat...


bujha charaagh to tareek ye zamana hua

udaas udaas mere ghar ka aashiana hua

rasool zada suye karbala rawana hua

rasool e paak ki ummat kaho khuda hafiz

hussain hote hai ruqsat...


sadayein aati hai reh reh ke saare aalam se

sukoon milta hai dil ko hussain ke gham se

magar hussain ki khidmat na ho saki hum se

dilon mein reh gayi hasrat kaho khuda hafiz

hussain hote hai ruqsat...


raza na haath se choote hussain ka daaman

sada barasta rahe aansuon ka ye saawan

aza e sheh se mehekta raha mera gulshan

na kam ho sheh ki mohabbat kaho khuda hafiz

hussain hote hai ruqsat...