kaleja thaam ke sheh ne pukara ay ali akbar
mai dekhun kis tarha jaana tumhara ay ali akbar
tumhe ruqsat karun kaise ke mai ek baap hoo beta
ye mera dil kare kaise gawara ay ali akbar
kaleja thaam ke sheh ne...
palat kar baap ko apne musalsal dekhte jaana
milega phir kahan chehra tumhara ay ali akbar
kaleja thaam ke sheh ne...
dhamak taapon ki jitni door mujhse hoti jaati hai
bujha jaata hai utna dil hamara ay ali akbar
kaleja thaam ke sheh ne...
tumhi ko dekh kar jeene ki mujhko aas baaqi thi
na jao chod kar mujhko khudara ay ali akbar
kaleja thaam ke sheh ne...
ujadte apni aankon se chaman wo kis tarha dekhun
ke atthara baras jis ko sawara ay ali akbar
kaleja thaam ke sheh ne...
ye maana deen par marne ka bahot jasba hai par socho
tumhi tooti kamar ka ho sahara ay ali akbar
kaleja thaam ke sheh ne...
sabhi ek ek kar ke saath mera chode jaate hai
hai meri zaat aur uska sahara ay ali akbar
kaleja thaam ke sheh ne...
qayamat tak mere dil mein rahegi ye khalish beta
ke tujhko maut ne bewaqt maara ay ali akbar
kaleja thaam ke sheh ne...
padha jab anjuman ne shaah e waala ka raza nauha
to ghamgeen ho gaya maahol saara ay ali akbar
kaleja thaam ke sheh ne...