kamar ko thaame chale hai maula
jawan bete ki laash uthaane
jahan pe zeen se gira tha beta
wahin pe khoon e jigar bahane
badan mein raasha bala ki garmi
aur us pe ghalba hai tashnagi ka
zameen pe bikhre pade hai laashe
ajeeb aalam hai bekasi ka
kise pukaare kise bulaye
juda kiya sab ko hi qaza ne
kamar ko thaame...
sujhaayi deta nahi hai kuch bhi
ke noor aankhon ka jaa chuka hai
har ek laashe se khaye thokar
koi dilaasa hai na asa hai
larazte qadmon se ja rahe hai
bas ek ahde wafa nibhaane
kamar ko thaame...
kiya tha yaum e alast waada
mai ishq ka imtehan doonga
utha ke sadme luta ke kunba
mai apni sajde mein jaan doonga
tamaam ahle falak ne dekha
kaleje thaame hai ambiya ne
kamar ko thaame...
na lab pe shikwa na bad'dua hai
magar hai aankhon mein ek samandar
zaeefi chalne se rokti hai
sambhalte jaate hai khaa ke thokar
koi to aaye madad ki khaatir
kiye hai ye bain karbala ne
kamar ko thaame...
ghareeb e zehra ka hai ye nauha
kahan ho noor e nazar batao
mai kab se maqtal mein dhoondta hoo
padar ko awaaz to sunao
sada ye sun kar kiya hai nauha
har ek shaheed e rahe khuda ne
kamar ko thaame...
ye din kisi ko na rab dikhaye
jawan ki mayyat padar uthaye
utha raha hai jo laashe akbar
hussain ka ye jigar hai haye
khaleel sabr e hussain dekhe
ke apne dil ka lahoo bahane
kamar ko thaame...
badi qayamat ka hai ye manzar
bayan kaise karun mai safdar
lahoo qalam se tapak raha hai
ye baat kaise likhun mai mazhar
hai kaisa saabir ghareeb e zehra
ye sirf mera khuda hi jaane
kamar ko thaame...