karbala jaisi aalam ki tareekh mein
dukh bhari daastan koi hai hi nahi
deen par jo mite un shaheedon mein bhi
misle akbar jawan koi hai hi nahi
maahe ramzan mein dada ne de thi azaan
subhe ashoor potay ne bhi di azaan
goonji kufe mein wo goonji karbal mein ye
dono jaisi azaankoi koi hai hi nahi
karbala jaisi aalam...
chand laila ka jis waqt ran ko chala
hukme sarwar se mud mud ke dekha kiya
qalbe sarwar se aati thi us dam sada
misle akbar jawan koi hai hi nahi
karbala jaisi aalam...
maanga akbar ne pani to shabbir ne
le li sookhi zaban moo mein farzand ki
usne wapas zaban khaynchi kehte huwe
aisi sookhi zaban koi hai hi nahi
karbala jaisi aalam...
inko hamshakle ahmed thay sab maante
phir bhi barsayi tayghein ye kehte huwe
dekho saare gharane mein shabbir ke
aisa kadiyal jawan koi hai hi nahi
karbala jaisi aalam...
pahunche shabbir farzand ki laash par
khaynchi seene se barchi to nikla jigar
mar gaya aediyon ko ragad ke pisar
aisa sakht imtehan koi hai hi nahi
karbala jaisi aalam...
aayi qaime mein laashe shabihe nabi
dil pe laila ke aaafat ki barchi lagi
phir bhi sajde mein allah ke jhuk gayi
umme laila si maa koi hai hi nahi
karbala jaisi aalam...