Kanz e Aza

Karbala Karbala

A noha written by Afzal Hussain. Lyrics in Roman Urdu.

qutelal hussaino be karbala

karbala karbala karbala


mai lut gayi bhaiyya ya hussaina

mera ghazi na raha ya hussaina

mai hogayi berida ya hussaina

ab kis ko mai doo sada

karbala karbala karbala...


sehra mein kitne laashe dekhe teri behen ne

majboor kar diya hai mujhko taygh e tabar ne


mai lut gayi bhaiyya ya hussaina

mera ghazi na raha ya hussaina

mai hogayi berida ya hussaina

ab kis ko mai doo sada

karbala karbala karbala...


qaime jala ke zaalim khushiyan mana rahe thay

kamsin yateem saare aansu baha rahe thay


mai lut gayi bhaiyya ya hussaina

mera ghazi na raha ya hussaina

mai hogayi berida ya hussaina

ab kis ko mai doo sada

karbala karbala karbala...


zakhmi jo laash aayi laila ke gulbadan ki

phir tukde tukde dekhi tasveer bhi hassan ki


mai lut gayi bhaiyya ya hussaina

mera ghazi na raha ya hussaina

mai hogayi berida ya hussaina

ab kis ko mai doo sada

karbala karbala karbala...


haathon mein rasan baandhe maqtal se jaa rahe hai

qaidi qadam qadam par sadme utha rahe hai


mai lut gayi bhaiyya ya hussaina

mera ghazi na raha ya hussaina

mai hogayi berida ya hussaina

ab kis ko mai doo sada

karbala karbala karbala...


bechain hai sakina karbobala ke ban mein

sau teer dikh rahe hai baba tere badan mein


mai lut gayi bhaiyya ya hussaina

mera ghazi na raha ya hussaina

mai hogayi berida ya hussaina

ab kis ko mai doo sada

karbala karbala karbala...


baazu kate jo mere abbas bawafa ke

karbal mein goonjte hai ye bain ambiya ke


mai lut gayi bhaiyya ya hussaina

mera ghazi na raha ya hussaina

mai hogayi berida ya hussaina

ab kis ko mai doo sada

karbala karbala karbala...


afzaal likh raha hai ye roke nauha gham ka

har ghar pe saaya hoga abbas ke alam ka


mai lut gayi bhaiyya ya hussaina

mera ghazi na raha ya hussaina

mai hogayi berida ya hussaina

ab kis ko mai doo sada

karbala karbala karbala...