Kanz e Aza

Karbala Ke Ban Mei Kaisi Hai Maizbani

A noha for Imam Hussain (a.s), recited by Anjuman e Shaidae Ali Asghar. Lyrics in Roman Urdu.

Karbala Ke Ban Mei Kaisi Hai Maizbani

Band Aale Mustafa Par Hai Teen Din Se Pani

Qasim Guzar Gaya Hai Pamal Hoke Ran Mei

Karti Hai Roke Dulhan Din Raat Nouha Khaani


Datay Hain Sare Bachey Rokar Tumhe Sadayein

Abbas Lakey Aao Darya Se Jald Pani

Bazoo Katay Jo Ran Main Abbas-e-bawafa Ke

Sheh Ne Kaha Kategi Ab Kaise Zindagani


Kahte The Shah Rokar Aye Laal Mere Rukja

Surat Mei Teri Mere Nana Ki Hai Nishani

Nazron Na Ruksakega Shabbir Ka Jahan Mei

Milti Hai Qhaak Mei Ab Akber Ki Naujawani


Zalim Ne Teer Mara Besheer Ke Gale Par

Laye The Shahewala Ran Mei Pilane Paani

Matam Na Ruksakega Shabbir Ka Jahan Mei

Jabtak Hai Tan Mei Hyder Khoon Ki Yahan Rawani