MAQTAL KI SAR-ZAMEEN KI PUR-DARD YE SADA HAI
KARBOBALA KA DULHA PAMAL HOGAYA HAI
Maqtal Me Shah Pounche Jab Pithe Huwe Sar
Dil Tukde Hogaya Jab Dekha Wo Khooni Manzar
Qasim Bani Ka Lasha Bikhra Huwa Pada Hai
Ibne Hassan Ke Tukde Qaime Me Shah Laye
Har Bibi Ne Pukara Allaha Haye Haye
Qaimo Me Shah-e-Deen Ke ek Harsh Sa Bapa Hai
Har-Su Hai Shor-e-Matam Iss Gham Ka Ye Asar Hai
Behosh Hai Sakina Kulsum Nouhagar Hai
Zainab Pe Jo Bhi Guzri Allaha Janta Hai
Qamush Lab Hai Lekin Har Sans Ro-Rahi Hai
Shadi Abhi Huwi Thi Bewa Abhi Huwi Hai
Taza Dulhan Pe Ya Rab Kya Waqt Aagaya Hai
Dulhan Ko Kya Sambhale Dulha Ki Maa Hai Muztar
Aankon Me Hai Andhera Shukre Khuda laboun Par
Inka Pisar Chacha Par Qurban Jo Huwa Hai
Dekhi Hai Karbala Ne Ahsan Ajib Shadi
Dulha Dulhan Hai Pyase Pyase hai Sab barati
Pyase Musafirou Par Gurbat ki inteha Hai