Laila Ka Laal Khoon Me Sab Laal Hogaya
Jo Hu-Ba_Hu Sahbi-e-Nabi Tha Khuda Gawa
Barchi Ushi Ke Sine Pa Zalim Ne Mariah
Iss Zulm Se Bichard Ke Quhan Phat Nahi Pada
Akber Ki Aankhen Band Thi Sine Pa Haath The
Sarwar Ne Zor Deke Jo Bete Ke Sine Se
Khainchi Sina Tho Khoon Ka Darya Ubal Pada
Kaise Nikali Apne Ya Shah-e-Insojaa
Kadyal Jawan Ke Sine Se Tooti Huwi Sina
Hairath Zada Hai Aaj Talak Sare Ambiya
Aayi Hai Hichki Aaqri Uss Noor-e-Ain Ko
Allaha Aake Kaun Sambhale Hussian Ko
Beta Jawan Margaya Athara Saal Ka
Lasha Jawan Bete Ka Qaime Me Aaya Hai
Arma Har Ek Bibi Ka Khoon Me Nahaya Hai
Fizza Ne Sar Ko Pit-Liya Aur Ye Di Sada
Sadma Jawan Bete Ka KaiSe Sahegi Maa
Jab Tak Zindagi Hai Tadapti Rahegi Maa
Lasha Rahega Aankhoun Me Kadyal Jawan Ka
Sine Pe Gehra Zaqm Badan Sab Lahoo Me Tar
Iss Haal Me Shabi-e-Payambar Ko Dekh kar
Zainab Ne Kaise Sabr Kiya Hoga Ya Khuda
Ahsan Dua Ye Karte Hai Ya Shah-e-Mashraqain
Humko Naseeb Teri Ziyarat Ho Ya Hussian
Nouha Ye Hum Padhenge Jo Pahunchenge Karbala