Kanz e Aza

Lut Gaya Zainab Ka Kunba Nana Jaan Pardes Me

A noha for Wapasi-e-Ahle Haram, recited by Anjuman e Shaidae Ali Asghar. Lyrics in Roman Urdu.

Lut Gaya Zainab Ka Kunba Nana Jaan Pardes Me


Guzri Hai Kaisi Ajab Majburiya Pardes Me


Bete Ki Maiyat Padi Ho Aur Maa Na Ro Sake


Guzri Hai Kaisi Ajab Majburiya Pardes Me


Darpe Zainab Ghash Me Abid Naher Pe Abbas The

Bhai Par Jis Dam Huwa Qanjar Rawa Pardes Me

Turbat-e-Asghar Pa Sar Rakh Kar Sakina Ne Kaha

Chod Kar Kis Par Gaye Hum Ko Yaha Pardes Me


Wasta Baba Ka Tum Ko Sath Me Bhaiya Chalo

Kahyegi Teri Behen Na Ghurkiya Pardes Me

Lasha-e-Shabbir Larza Aur Sakina Ro Padi

Shimr Ne Khe-Che The Jis Dam Baliya Pardes Me


Qaima-e- Shai Me Vizarat Hogaya Mehshar Bapa

Jis Ghadi Maa Ne Bhadayi Hasilya Pardes Me