Qabre Zehra pa ye Zainab ka tha Nouha Amma
Lut gayi Karbobala me Teri Duniya Amma
Shimr ne Sibte Payambar ka gala kaata hai
Kund khanjar se Baradar ka gala kaata hai
Itni berahmi se Sarwar ka gala kaata hai
Garm reti pa tadapta raha Bhayya Amma
Lut gayi Karbobala me Teri Duniya Amma
Kal talak Aun o Muhammad the Ali Asghar tha
Paas Qasim tha Sakina thi Ali Akbar tha
Jin charaagho’n hi ke dam se Tera roushan ghar tha
Aaj unhe kha gaya maqtal ka andhera Amma
Lut gayi Karbobala me Teri Duniya Amma
Meri chaadar ka Muhafiz Mera Safdar na raha
Meri dhaaras na rahi saaniye Haidar na raha
Mera Bhai Mera Abbase Dilawar na raha
Kho gaya Zainabe Muztar ka sahara Amma
Lut gayi Karbobala me Teri Duniya Amma
Godiya’n lut’ti huwi jalte huwe ghar dekhe Aur naizo’n pa Shaheedo’n ke kate Sar dekhe
Teri Beti ne kayi hashr ke manzar dekhe
Yaad aati hai to jalta hai kaleja Amma
Lut gayi Karbobala me Teri Duniya Amma
Daagh jo Dil ne utHaay hain bataaae’n kisko
Neel bazu pa jo aaye hain dikhaae’n kisko
Apni barbadi ki rudaad Sunaae’n kisko
Aaj duniya me nahi’n koi Hamara Amma
Lut gayi Karbobala me Teri Duniya Amma