lut ta hai ahmad ka chaman haaye haaye
qalq se jaate hai hassan haaye haaye
aabe sam aalood ke peene se aah
hogaya neela wo badan haaye haaye
tukde kaleja jo hua qoon se
hogaya labrez lagan haaye haaye
sarfe buka saara madina hai aaj
peet'ti hai sheh ki behen haaye haaye
teer sitamgaaro ne taboot par
maare hai ya shaahe zaman haaye haaye