Kehti thi yehi Zainab Shabbar ke Janaze par
Gham kaise sahe Zainab Bhayya Teri furqat ka
Tukde Dil e Shabbar ke dekhega zamana phir
Aashoor ke daaman me manzar hai qayamat ka
Taaboot pa Shabbar ke jab teere sitam aaye
Abbas pa tha kaisa ye waqt musibat ka
Kamsin hai ye Shahzaada baitha hua sakte me
Qasim ko bhi pursa do Shabbar ki Shahadat ka
Shabbar ki Shahadat hai Shabbir ke Parwaano'n
Shabbir ko pursa do Shabbar ki Shahadat ka
Pakne lagi shaq ho kar is waqt zamee'n paiham
Kya hoga asar soncho us zehr ki shiddat ka
Wo zehr-e sitam pohncha Shabbar ke kaleje tak
Sar peeto azadaaro manzar hai qayamat ka
Shabbir ka sadqa ho ab ham ko ata Shabbar
Ham waasta dete hain Qasim ki musibat ka
Hai Khidmat e Shabbar me maarooza Rasheed Itna
Ham sab ko sharaf de de Raoze ki Ziarat ka