Kanz e Aza

MUSLIM KEY YATIMON KI KUFAY MAI SHAHADAT

A noha for Pisaraan-e-Muslim (a.s), written by Rasheed Shaheedi and recited by Anjuman e Parwana e Shabbir. Lyrics in Roman Urdu.

Muslim key Yatimon ki kufay mai Shahadat Hai

Sar Pito karo Matam yeh Waqt-e-Musibat Hai

Baba Bhi Nahi Sar Par Aur Paas Nahi Maa

Pardes Mai Bachon Par Kya Alamay Gurbath Hai


Faryad Karay Kissay, Kis say Kehan Dard Apna

Bhukay Hai Akele Hai Aur Pyaas ki Shiddath Hai

Kuch Rehem Nahi Khaya, Haris Ne Sitam Dhaya

Masoom Yatimon Par Ye Kaisi Musibath Hai


Ek Bhai Ka Sar Kata Ek Bhai Ko Dikhla Kar

Kya Dard Ka Manzar Hai Kaisi Yeh Kaya Math Hai

Haan Inki Shahadath Bhi Tamheed Hai Karbal Ki

Inhi Bachon ka Matam Bhi Shabir ki Nusrath Hai


Ab Pesh Karay Pursa Hum Bibi Rukhaiya ka

Muslim ki Yatimee Par Ye Taza Musibath Hai

Shazadoun ke Rauzon Par Hum Jakay

Har Hal Main Rasheed Toh Bas ek hi Hasrath hai