Kanz e Aza

Pardes Hai Ghurbat

A noha for Pisaraan-e-Muslim (a.s), written by Waiz Sultanpuri. Lyrics in Roman Urdu.

muslim ke dulaare


pardes hai ghurbat hai muslim ke dulaare hai

hai door watan dono taqdeer ke maare hai


bichda hai pidar jab se dono pe musibat hai

bhooke hai kayi din ke aur pyaas ki shiddat hai

jaayein to kahan jaayein ye soch ke rote hai

pardes hai ghurbat hai...


haal apna batane ko hamdard kahan paayein

anjaan hai kufe se jaayein to kahan jaayein

chup chup ke wo pardesi din raat bitaate hai

pardes hai ghurbat hai...


chote ko bada bhai godi mein uthaata hai

bhai ka safar bhai aasaan banaata hai

mil jayega ab rasta ye soch ke chalte hai

pardes hai ghurbat hai...


taqdeer yateemon ko din rat sataati hai

aur baap ki furqat bhi dono ko rulaati hai

kufe mein bhatakte hai aur ashk bhaate hai

pardes hai ghurbat hai...


hai dono ke baal uljhe kapde bhi huwe maile

koi bhi nahi aisa aa kar ke jo ye pooche

ye soye nahi kab se aur kab ke ye jaage hai

pardes hai ghurbat hai...


aa kar ke koi inko seene se laga leta

aur raah madine ki dono ko bata deta

ye dono musafir hai hyder ke dulaare hai

pardes hai ghurbat hai...


ek pal bhi ajal inke peeche se nahi hat'ti

aur ranj o musibat ki badli bhi nahi ghat'ti

do phool se bacche hai aur maut ke saaye hai

pardes hai ghurbat hai...


wo dono musafir thay pardes mein bewaaris

jab kar ke giraftaari le kar ke chala haaris

rukh kar ke madine ka amma ko bulaate hai

pardes hai ghurbat hai...


haaris ne yateemon par waiz jo sitam dhaaye

wo zulm ali kaise reh reh ke na yaad aaye

talwaar hai zaalim ki aur chand se bacche hai

pardes hai ghurbat hai...