Pardes Hai Muslim Hai Aur Lashkar E Aada Hai.
Koofe Me Taney Tanha Hyder Ka Dulaara Hai.
1. Jaae.n Tow Kaha.n Muslim Har Simte Sitamgar Hai.
Hyder Ke Bhatijey Par Kia Waqt Ye Aaya Hai.
2. Jaise Hi Salaam Aaya Shabbir Ko Bhai Ka.
Aansoo.n Ka Ek Dariya Aankho Se Bahaya Hai.
3. Afsos Ke Zaalim Ne Sar Kaatke Muslim Ka.
Muslim Ka Taney Athar Kothey Se Giraya Hai.
4. Letey Hain Shahe Dee.n Ab Godhi Me Ruqayya Ko.
Kehte Hain Ke Ae Beti Maara Gaya Baba Hai.
5. Galiyon Me Phiraate Hain Muslim Ke Janaaze Ko. Aur Saath Janaaze Ke Sar Peethti Zahra Hai.
6. Aarif Bhi Bohot Royaa Ye Darde Baya.n Kahke.
Muslim Ki Shahadat Se Aghaaz Ghamo Ka Hai.
(Mohammed Ali Arif)
(Anjuuman E Asghari / Qayam Nagar)