pardes mein zehr se maara hai naqi ko
jis tarha is se pehle raza aur taqi ko
cheh saal umr thi ke huwe baap se juda
zaalim ne kamsini mein rakha qaid naqi ko
pardes mein zehr se...
masoom ko layeen ne bulaya iraq mein
phir tauq e salaasil mein rakha maula naqi ko
pardes mein zehr se...
haye haye yateem saamra mein chod kar gaye
khud askari ne ghusl diya baba naqi ko
pardes mein zehr se...
ishrat ko wo kalaam ata kijiye imam
saamra jaa ke pesh kare khud wo naqi ko
pardes mein zehr se...