Kanz e Aza

aaj roze aza hai wawaila

A noha for Ali un Naqi (a.s). Lyrics in Roman Urdu.

aaj roze aza hai wawaila

sheh ka matam bapa hai wawaila

zehr dekar ali naqi ko laee'n

dil me qush ho raha hai wawaila


ghar se bulwaake sheh ko zalim ne

qatl na haq kiya hai wawaila

haaye pardes me musafir par

zulm kaisa hua hai wawaila


bepidar hogaye pisar sheh ke

sab ko sadma hua hai wawaila

sar se bewa ke aur yateemou ke

sheh ka saya utha hai wawaila


aaj daswa imam dunya se

aye *hussaini* utha hai wawaila