mardo zan kehte the peet kar sar haaye zalim ne maara naqi ko
uthgaya aaj dunya ka rehbar haaye zalim ne maara naqi ko
chal basa bekasou ka sahara, zulm bedeenou ka sehne waala
har taraf shor barpa hai mehshar haaye zalim ne maara naqi ko
jiska nana ho kul ka payambar, jiska dada ho saqiye kousar
isko afsos yu'n zehr dekar haaye zalim ne maara naqi ko
dil me qush aaj har ek laee'n hai, puchne wala koi nahi hai
askari hai pareshaano muztar haaye zalim ne maara naqi ko
ye na samjha sitamgaar haye haye, panjetan royenge iske gham se
hai ye shabbiro shabbar ka dilbar haaye zalim ne maara naqi ko