argaya asghar mera aur alqama roti rahi
haaye bekas bezabaa'n pe , uski maa roti rahi
Teen din ki pyaas ko bhi muskuraakar seh gaye
haato pe shabbir ke asghar tadapkar reh gaya
hurmula zaalim ke haato me kamaa'n roti rahi
Nanha tha masoom tha aur phool tha uska badan
teer se bhi kam tha logo mere asghar ka badan
Maa ye karke bain dunya par ayaa'n roti rahi
aayi jab shaame ghareebaa'n , zulm had se badh gaya
ek gehwaara tha so wo, bhi tumhaara jal gaya
dekh kar asghar ke jhoole ke nishaa'n roti rahi
asghar-o akbar ka gham mujh par qayaamat kar gaya
khaake seene par sina akbar tadapkar mar gaya
sunke zainab baade karbal bhi azaa'n roti rahi
baade aashoora nabi ke aal ka parda luta
noke naiza se zamee'n par, baawafa ka sar gira
zainabe dilgeer ki qaatir rida roti rahi
Maatami aise do pursa asghar-e besheer ka
raazi ko masooma zahra , aur aaye ye sada
gham me sheh ke naaseraan,-e aza roti rahi