Kanz e Aza

Masoom Lahoo May

A noha for Ali Asghar (a.s). Lyrics in Roman Urdu.

masoom lahoo may dooba hua

baysheer ka laasha dekh na le

ye maut isi ka kharcha hai

maa khaali jhoola dekh na le

masoom lahoo may dooba...


haye abbas zara parda kar le

ay maut zara haayil ho ja

sar khole hue nikli hai behan

shabbir ka laasha dekh na le

masoom lahoo may dooba...


haye abbas e ali ki aamad par

aapas may ye faujein kehti thi

shabbir ka bhai pyasa hai

darya ka kanara dekh na le

masoom lahoo may dooba...


haye garmaye huwe sooraj ki kiran

aur godh may baba ki asghar

ye phool aba ke saaye may

bedard zamana dekh na le

masoom lahoo may dooba...


haye jab qatl huwe suraj dooba

ghar aal e nabi ka loota hai

aagosh may jalte qaimon ki

maa nanha sa jhoola dekh na le

masoom lahoo may dooba...