margaye muslim ke pisar haaye haaye
kargaye dunya se safar haaye haaye
haris-e maloon ki bedaad se
hil gaye seeno me jigar haaye haaye
qaid se chut kar bhi na paai amaa'n
aagaye qatil hi ke ghar haaye haaye
kaat liya bacho ke sar roosiyah
kuch na kiya qoufo qatar haaye haaye
dono yateemo ke badan nehr me
daaldiya baanie shar haaye haaye
bhaanje abbase dilawar ke haaye
zib'ha hue tashnajigar haaye haaye