marhaba auno mohammed
Zainab tere beto'n ne bada kaam kiya hai, bada kaam kiya hai
Deene nabi pa jaanko, qurbaan kiya hai, bada kaam kiya hai
1) Kis shaan se ki hyder-o-jaffer ne ladaayi
maa ne shabe aashoor ko wo yaad dilaayi#
jaa'n apni fida karne ka armaan kiya hai, bada kaam kiya hai
2) Beto'n ko fida kardiya yu'n bhai pe apne
hatyaaar lagaae hue maidaan me pohnche
maa ke sukoone qalb ka saamaan kiya hai, bada kaam kiya hai
3) kehti thi ye baccho se jo maidaan me jaana
ladte hue darya ka kabhi ruq nahi karna
poora dile zainab ka wo armaan kiya hai, bada kaam kiya hai
4) Masroofe wegha ho gaye hyder ke nawaase
kya shaan se hamle kiye seh roz ke pyaase
Abbas ke shaagirdo'n ne hairaan kiya hai, bada kaam kiya hai
5) Badh badh ke kiye auno mohammed ne wo hamle
baadal ki tarah chaa gaye lashkar ke jiyaale
kya shaamiyo'n ki mout ka saamaan kiya hai, bada kaam kiya hai
6) Jab ghir gaye maidaan me zainab ke dulaare
tan dono ke zaqmi hue dunya se sidhaare
Jaano'n ko ajab shaan se qurbaan kiya hai, bada kaam kiya hai
7) Tune jo likha auno mohd ka ye nouha
hyder thi yahi saaniye zahra ki tamanna
khushnoodiye zahra ka jo saamaan kiya hai, bada kaam kiya hai