Kanz e Aza

Roke Shabbir Pukare

A noha for Aon o Mohd (a.s), written by Mubarak Jalalpuri. Lyrics in Roman Urdu.

roke shabbir pukare ke khuda khair kare


tu ne islam pe ghar baar lutaaya apna

ab to dunya mein tumhara nahi koi bhi bacha

haye bahcon ki satane lage mujhko sadme

ab nazar aate nahi aun o mohamed zainab

roke shabbir pukare...


aarzu thi meri zinda rahe dono bache

meri hamsheer gharana tera abaad rahe

ye na dunya mein rahenge to jiyogi kaise

ab nazar aate nahi aun o mohamed zainab

roke shabbir pukare...


jaane kyun dil mera seene mein dhadakta hai bahot

ho bayan kaise kaleja mera phat'ta hai bahot

chaahta hoo ke salamat rahe pyase bache

ab nazar aate nahi aun o mohamed zainab

roke shabbir pukare...


zinda phir aun o mohamed ko kahan payenge

jab sitamgar sumein aspa se kuchal daalenge

kamsini unki rulaati hai mujhe reh reh ke

ab nazar aate nahi aun o mohamed zainab

roke shabbir pukare...


kamsini mein bhi wo maqtal ko sidhaare zainab

ab na aayenge palat kar wo dulaare zainab

haye sehra e atash mein tere bache hai giray

ab nazar aate nahi aun o mohamed zainab

roke shabbir pukare...


jis ghadi aun o mohamed ke khareeb ye pahunche

dekhe jaate nahi shabbir se zakhmi laashe

dono laashon se lipat kar shahe waala bolay

ab nazar aate nahi aun o mohamed zainab

roke shabbir pukare...


haye laashon se lipat kar shahe waala ne kaha

maangi kyun aalam e tifli mein bhi marne ki riza

mayyatein saani e zehra ko dikhaun kaise

ab nazar aate nahi aun o mohamed zainab

roke shabbir pukare...


bole kis tarha se zainab ko dikhaun mai bhala

ay mubarak liye laashon ko chale shaahe huda

dar talak pahunche ay rehan wo kehte kehte

ab nazar aate nahi aun o mohamed zainab

roke shabbir pukare...