seene pe sone wali mitti pe so rahi hai
chadar bhi chin chuki hai gohar bhi chin chuke hai
nanhe se paon mein bhi chaale pade huwe hai
neeli hai pusht haye roti hai sheh ki dukhtar
seene pe sone wali...
kaano se khoon ab bhi hai ghamzada ke jaari
jab jab hai kaan dukhte roti hai sheh ki beti
ab ro ke keh rahi hai bhaiya chalenge ghar hum
seene pe sone wali...
bemaar rehke bhai seene pe hi sulaata
gar haath hathkadi mein dono bandha na hota
gardan mein tauq bhaari aur hai kamar mein langar
seene pe sone wali...
kaise koi ye likhe kis tarha so rahi hai
hai pusht o seena zakhmi karwat badal rahi hai
aaqa ko saath lekar abbas dekho aa kar
seene pe sone wali...
hasrat se qaid-khane mein mujhse keh rahi hai
bhaiya galay ki rassi takleef de rahi hai
har saans mein na kyun kar marjaungi mai ghut kar
seene pe sone wali...
bhaiya dua ye kardo mar jaye ab sakina
kaise sahe yateema zulm o sitam ki eeza
ghairat rula rahi hai sar par nahi hai chadar
seene pe sone wali...
sajjad kar rahe hai zindan mein ye noha
jab dekhte hai dar se udta hua parinda
udte huwe parinde ye dekhle teher kar
seene pe sone wali...
balo se bibiyan ne apne kiye thay parde
kaise mai moo chupati thay baal mere chote
zakhmi mera jigar hai sadma bahot hai dil par
seene pe sone wali...
rehan aur mubarak lamha ajeeb aaya
sab kehke ro rahe hai lo mar gayi sakina
sajjad keh rahe hai isko lehad mein rakh kar
seene pe sone wali...