Kanz e Aza

Shaam ke Zindan

A noha for Shehzadi Sakina (s.a), written by Raza Ali Khan Lakhnavi. Lyrics in Roman Urdu.

shaam ke zindan se ye aayi sada

dam ghuta jaata hai mera qaid mein

aao ammu tum ko mera waasta

dam ghuta jaata hai mera qaid mein


mai karun kab tak tumhara intezar

pyasi aankhein har ghadi hai ashk baar

lene aaoge mujhe tum kab bhala

dam ghuta jaata hai...


laakh apne dil ko behlati hoo mai

par andheron se dari jaati hoo mai

mil rahi hai mujhko ye kaisi saza

dam ghuta jaata hai...


karbala se shaam tak ka ye safar

sakhtiyan jheli hai maine raah bhar

aur is par zulm ye zindan ka

dam ghuta jaata hai...


zindagi mein har ghadi thi roshni

dekhte hi dekhte shaam aa gayi

ab andheron se faqat hai waasta

dam ghuta jaata hai...


kya karun kuch aql mein aata nahi

koi dukhiya par taras khaata nahi

kab rukega zulm ka ye silsila

dam ghuta jaata hai...


neel chehre par hai kurta khoon se tar

mai bahot royi hoo ammu raat bhar

poochta koi nahi hai kya hua

dam ghuta jaata hai...


umr choti hai bahot mai kya karun

aur kab tak zulm se tanha ladun

ho na aisa dam nikal jaye mera

dam ghuta jaata hai...


qaid khane mein har ek shaam o sehar

dil ko tadpaati rahi yaad e padar

aaj tak toota nahi ye silsila

dam ghuta jaata hai...


jaane kab ho mujhko mera ghar naseeb

mai khadi hoo maut se itna khareeb

dijiye dhaaras mujhe aa kar chacha

dam ghuta jaata hai...


dil mein jeene ki tamanna hi nahi

meri turbat ab bane shayad yahin

muntazir hai dil faqat ab maut ka

dam ghuta jaata hai...


jab sitam ko sehte sehte thak chuki

qaid khane mein sakina mar gayi

waqt e aakhir bhi raza nauha ye tha

dam ghuta jaata hai...