Kanz e Aza

Shabbir ki Dukhtar

A noha for Shehzadi Sakina (s.a). Lyrics in Roman Urdu.

Dafatan Shabbir ki Dukhtar ka Rona Tham Gaya

Har Ghadi Zulmat ki Manzil se Guzarna Tham Gaya


1. Aabid e Dilgeer se puche Na Haal e Dil koi

Aisa Lagta hai Ki Uska Saa'ns Lena Tham Gaya


2. Zainab e Khasta jigar hai'n Khaak pe Nauhakuna

Baap ki Furqat me Beti ka Machalna Tham Gaya


3. Maadar e Muztar ki Khaatir kya Raha Ab Zeest me

Goad me lekar Sakina ko Sulana tham Gaya


4. Aye Yazeed e Badgohar Ab Chayn se Soyega tu

Bachchi ka ro rokar Baba bulana tham Gaya


5. Ghul huwa k Qaidkhane me Sakina Mar Gayi

Gham me Baba k Musalsal Roz Marna Tham Gaya...


6. Doobkar Apne hi Aa'nsu me 'Wila' mera Qalam

Likh kar Aakhir me Faqat haaye Sakina Tham Gaya