sheh ki dukhtar so rahi hai shaam ke zindan may
ek saf e matam bichi hai shaam ke zindan may
shah ke seene par qaraar aata tha jis ghamkhwar ko
khaak par soyi hui hai shaam ke zindan may
sheh ki dukhtar so rahi hai...
abid e beemar ke haaton se ye mat poochiye
kis tarha turbat bani hai shaam ke zindan may
sheh ki dukhtar so rahi hai...
sayyade sajjad ki aankhon se aansu hai rawan
bekasi hi bekasi hai shaam ke zindan may
sheh ki dukhtar so rahi hai...
ya ali ahle haram ki aaiye imdaad ko
kis qadar bechaargi hai shaam ke zindan may
sheh ki dukhtar so rahi hai...
shab ke sannate may aksar sochti rehti hai maa
ek bachi ro rahi hai shaam ke zindan may
sheh ki dukhtar so rahi hai...
raat ki tareekiyon may dukhtar e shabbir ne
gham ki chadar odhli hai shaam ke zindan may
sheh ki dukhtar so rahi hai...
is liye qabr e sakina par udaasi chaayi hai
teeragi hi teeragi hai shaam ke zindan may
sheh ki dukhtar so rahi hai...
baad e shah mat poochiye kaisi qayamat aa gayi
girya o seena zani hai shaam ke zindan may
sheh ki dukhtar so rahi hai...
wa hussaina ki sadayein goonjti hai raat o din
har taraf veerangi hai shaam ke zindan may
sheh ki dukhtar so rahi hai...
raat bhar shabnam ka girya din may suraj ki tapish
chaar soo afsurdagi hai shaam ke zindan may
sheh ki dukhtar so rahi hai...
apni ashkon se dar o dewaar par sajjad ne
daastane gham likhi hai shaam ke zindan may
sheh ki dukhtar so rahi hai...
hai aseem aale nabi par ek qayamat aa gayi
bhook hai aur tashnagi hai shaam ke zindan may
sheh ki dukhtar so rahi hai...