Kanz e Aza

Kehte Thay Shaah

A noha for Ali Akbar (a.s), written by Aseem Lakhnavi. Lyrics in Roman Urdu.

kehte thay shaah ay ali akbar kahan ho tum

ay mere laal ay mere dilbar kahan ho tum


apne zaeef baap ki aa kar madad karo

ghere huwe hai shaam ka lashkar kahan ho tum

kehte thay shaah...


awaaz de rahe hai pisar ko shah e huda

ay naujawan shabihe payambar kahan ho tum

kehte thay shaah...


qaime ke dar pa aas lagaye khadi hai maa

veeran ho gaya hai bhara ghar kahan ho tum

kehte thay shaah...


ro ro ke keh rahi hai ye zainab jawab do

qaime jala rahe hai sitamgar kahan ho tum

kehte thay shaah...


laila ke dil ko kaun sambhale mere pisar

dar dar phira rahe hai sitamgar kahan ho tum

kehte thay shaah...


jab se gaye ho tum dil e maadar udaas hai

aankhon ka noor ay ali akbar kahan ho tum

kehte thay shaah...


baithi hui hoo moo ko chipaye zameen par

aade ne cheen li meri chadar kahan ho tum

kehte thay shaah...


ab shaam ho rahi hai sakina ki lo khabar

ay naujawan hussain ke dilbar kahan ho tum

kehte thay shaah...


hum ghir chuke hai nargha e aada mein ay pisar

durre laga rahe hai sitamgar kahan ho tum

kehte thay shaah...


tooti hui kamar ko sambhalo hussain ki

kehti hai ro ke zainab e muztar kahan ho tum

kehte thay shaah...


laila ki aarzoo hai ek baar dekh loo

hamshakle mustafa ali akbar kahan ho tum

kehte thay shaah...


sheh ke galay pa shimr ka khanjar ghazab hua

aayi sada ke ay ali akbar kahan ho tum

kehte thay shaah...


ahle haram mein hashr bapa hogaya aseem

sarwar ne jab kaha ali akbar kahan ho tum

kehte thay shaah...