kehti thi umme laila laashe jawan pe ro kar
mujhko na maut aayi
kadiyal jawan ka laasha aaya hai khoon mein tar
mujhko na maut aayi
kuch soojta nahi hai aankhon mein hai andhera
dunya se jaa chuka hai mera jawan beta
kehti rahungi ab mai bas ye tadap tadap kar
mujhko na maut aayi...
kehti thi umme laila...
sarhane naujawan ke baithi hai umme laila
moo choom kar pisar ka ye keh rahi hai dukhiya
ab saari zindagi mai bas ye kahungi ro kar
mujhko na maut aayi...
kehti thi umme laila...
arshe bari pe us din mera naseeb hota
kaandhe pe leke chalte jab tum mera janaza
afsos maa se pehle tum mar gaye gule tar
mujhko na maut aayi...
kehti thi umme laila...
ek maa ki zindagi mein ye din kabhi na aaye
bete ki laash maa ko allah na dikhaye
meri tarha ye keh kar roye na koi maadar
mujhko na maut aayi...
kehti thi umme laila...
haathon se apne jiske gaysu sawarti thi
jis laal ki mai har dam nazrein utaarti thi
maara layeen ne naiza us gulbadan ke dil par
mujhko na maut aayi...
kehti thi umme laila...
athara saal jisko tha mannaton se paala
nazron ke saamne hai us naujawan ka laasha
haye re meri kismat haye mera muqaddar
mujhko na maut aayi...
kehti thi umme laila...
roye bahot tadap kar us waqt shaahe waala
zainab se jab lipat kar royi hai umme laila
ye keh rahi thi dono tum mar gaye ay akbar
mujhko na maut aayi...
kehti thi umme laila...
waiz na likh sakega us ghamzada ki haalat
bas maa'ein jaanti hai kya hai pisar ki ulfat
zinda thi umme laila jab tak ye tha labon par
mujhko na maut aayi...
kehti thi umme laila...