ummul baneen roti hai sar peet peet kar
kohram hai barpa kohram hai barpa
hasnain ke baba pe chala zulm ka khanjar
kohram hai barpa kohram hai barpa
jibreel ye sar peet ke karte hai manadi
maara gaya mabood ke sajde mein namazi
talwaar se zakhmi hua islam ka rehbar
kohram hai barpa kohram hai barpa
ummul baneen roti hai...
zaalim ne pehle taygh zeher mein bujhayi hai
phir sher e kirdigaar ke sar pe lagayi hai
apne lahoo mein doob gaye saaqi e kausar
kohram hai barpa kohram hai barpa
ummul baneen roti hai...
hai zainab o kulsoom ke honton pe ye naale
ay paalne waale mere baba ko bachale
abbas bohat rote hai is bain ko sun kar
kohram hai barpa kohram hai barpa
ummul baneen roti hai...
sar peet ke karte hai buka shabbar o shabbir
kulsoom se ye kehti hai jab zainab e dilgeer
ab daagh yateemi ka dikhayega muqaddar
kohram hai barpa kohram hai barpa
ummul baneen roti hai...
ek hashr ka manzar hai qayamt ki ghadi hai
aakar ke yateemi dar e shabbar pe khadi hai
bin baap ke ho jayenge zehra ke gule tar
kohram hai barpa kohram hai barpa
ummul baneen roti hai...
aalam mein ye pur dard sada goonj rahi hai
dunya se wo jaata hai jo waliyon ka wali hai
waiz hai azadaron ki aankhon mein samandar
kohram hai barpa kohram hai barpa
ummul baneen roti hai...