Kanz e Aza

Kon Ab Sar Pe Mere Hath Rakhai Ga Baba

A noha for Imam Ali (a.s) (2021). Lyrics in Roman Urdu.

●Band ankhein hoi haider jo chalay dunya say

tha qayamat ka sama gham tha sab he chehro pay

Betian bap kay qadmo say jo lipteen ro kay

Bain zainab nay yeh baba kay janazay pay kiye


●Kon ab sir pay mere hat rakhay ga baba

yad bohat ayega ap ka chehra baba


●Ma agar na ho to wo surat e ma hota hai

baap beti kay liye sara jahan hota hai

aj lagta hai mere lut gaye dunya baba


●Samnay bethi hun ek bar to ankhein kholo

kyun ho khamosh fakhat itna bata do mujh ko

na saha jayega zainab say yeh sadma baba


●Mere ronay ke sada sun kay taraptay hein sab he

kaise kufay kay yatemo ko samhalay ga koi

hogaye aj to zainab bhe yatema baba


●Hayee yeh dekh kay dil ghum say phata jata hai

kyun amamay ke jaga sir pay kafan bandha hai

tum ko is hal main pehlay to na dekha baba


●Kitna manoos haai wo tum say tumhein sab hai khabar

mere abbas ko senay say laga lo uth kar

dur betha hai tarapta hai akela baba


●Shan e chumay to bataya kay bandhay ge rassi

yeh bhe batlaya kay chadar bhe chenay ge mere

kitna chalna hai mujhe yeh na bataya baba


●Jab bhe yaad ayegay yeh zakham bohat roungi

apnay maa baap ke ghurbat na kabhe bholungi

sir yahan shak hai wahan pehlo shikasta baba


●Kardia band kafan bhai hasan nay rukh say

bhaiya shabir churatay hein janazay say mujhe

kitna muskill hai mera tumsay bicharna baba