KUFE MEIN AIK HASHR BAPA WAMUSIBATA
HYDER NE AAJ KI HAI QAZA WAMUSIBATA
Syed ko rozedaar ko maahe siyaam mein
Ghar me khuda ke qatl kiya wamusibata
Sar shaq hai khoo’n se saara musalla hai tarbatar
Sajde se sar utha na saka wamusibata
Sar peet-te hain saare namazi ye karke bain
Masjid mein Qatl-e-Nafs-e-Khuda Wamusibata
Zainab pachhade khaati hain Hasnain rote hain
Khadmao mein koi ghash mein pada Wamusibata
Zainab tadapke kehti hai veera’n huwa ye ghar
Baba pe kisne zulm kiya Wamusibata
Hyder ke gird Maadar-e-Abbas ke the bain
Waali ki mere radd ho bala Wamusibata
Bewo’n ki aur yateemo’n ki ab kaun le khabar
Mushkil kusha ne ki hai qaza Wamusibata
Aulad-e-Murtuza ne amaame diye utaar
Saidaniyo ne sar se rida wamusibata
Qasim ye shor-o-shain hai Aal-e-Nabi mein aaj
Baba ka sar se saaya utha Wamusibata