Kanz e Aza

Laashe Pe Murtaza

A noha for Imam Ali (a.s), written by Raza Ali Khan Lakhnavi. Lyrics in Roman Urdu.

laashe pa murtuza ke thi jibreel ki fughan

haye haye shaheed ho gaye maula e do jahan


dunya hassan hussain ki andher ho gayi

is kamsini may bachon pa toota hai aasman

laashe pa murtuza ke...


afsos maa ke baad may baba guzar gaye

aansu lahoo ke zainab e muztar ke hai rawan

laashe pa murtuza ke...


sajde may sar hai khoon se musalla lahoo lahoo

maari hai rozedaar ke wo zarbat e garan

laashe pa murtuza ke...


hoor o malak hai ambiya aur hai ghame ali

farshe aza e murtuza lagta hai aasman

laashe pa murtuza ke...


ekisween ko chup gaya dunya ka aaftab

chaayi hui hai chaar soo zulmat ki badliyan

laashe pa murtuza ke...


jisko nabi ne apne wasi ka diya khitaab

dushman usi ka ho gaya kufe ka musalman

laashe pa murtuza ke...


aankhon may ashk bhar ke ye abbas ne kaha

hum ko akela chod ke baba gaye kahan

laashe pa murtuza ke...


sadme se ghash hai zainab o kulsoom pe tari

rukti nahi ye dekh ke fizza ki siskiyan

laashe pa murtuza ke...


dunya se unka uth gaya afsoos ek raqeeb

hai meesam o miqdaar ke chehre dhuan dhuan

laashe pa murtuza ke...


patjhad ki zad may aa gaya sar sabz gulsitan

chaayi hai aisi gulshan e islam par khizan

laashe pa murtuza ke...


gham ki siyaah aandhiyan uthi hai chaar soo

ba-waqt e farz di hai muazzin ne jo azan

laashe pa murtuza ke...


jaate hue janaze ko ghabra ke dekh kar

apne saron pa khaak udaati hai betieyan

laashe pa murtuza ke...


kehte hai ashk beh ke raza ye imam se

pursa qubool kijiye ya saahib uz zamaan

laashe pa murtuza ke...