Kanz e Aza

Nabi ki Jaan Dile

A noha for Arbayeen, written by Raza Ali Khan Lakhnavi. Lyrics in Roman Urdu.

nabi ki jaan dil e hyder ka aaj chehlum hai

makeen e dosh e payamber ka aaj chehlum hai

ke ibne faatah e khyber ka aaj chehlum hai

bahao ashk ke sarwar ka aaj chehlum hai


jhulasti rayt pa afsoos pyaas mein tadpa

shaheed ho gaya maqtal mein phool sa bacha

usi hussain ke dilbar ka aaj chehlum hai

bahao ashk ke sarwar...


bahoo ashkon ko aur momino karo girya

dilao fateha aur majlisein karo barpa

hamare mohsin o yawar ka aaj chehlum hai

bahao ashk ke sarwar...


wo jis ne raahe khuda mein kata diya sar ko

wo jis ne raahe khuda mein luta diya ghar ko

us ibne saaqi e kausar ka aaj chehlum hai

bahao ashk ke sarwar...


zameen roti hai aansu baha raha hai falak

libaas e gham mein pareshan sabhi hai jinn o malak

ye ro ke kehte hai dilbar ka aaj chehlum hai

bahao ashk ke sarwar...


rawan hai bachon pa afsos zulm ke khanjar

pachade khaati thi zainab ye dekh kar manzar

musibaton ke samandar ka aaj chehlum hai

bahao ashk ke sarwar...


wo jis ki laash ko raunda sitam ne maqtal mein

wo jis ki bewa bahaati thi ashk jangal mein

yateem saani e shabbar ka aaj chehlum hai

bahao ashk ke sarwar...


har ek khwaab baha zulm ki rawani mein

sina kaleje pa khaayi bhari jawani mein

hussain ke usi akbar ka aaj chehlum hai

bahao ashk ke sarwar...


hai aaj shiyon mohamed o aun ka chehlum

hussain ibne ali ki hai jaan ka chehlum

habeeb jaise dilawar ka aaj chehlum hai

bahao ashk ke sarwar...


raza furaat pa apne kata ke shaano ko

hayaat de gaya ghazi wafa ki raahon ko

usi wafaon ke paikar ka aaj chehlum hai

bahao ashk ke sarwar...