sakina kehti thi ro kar koi yateem na ho
yehi dua hai labon par koi yateem na ho
khata baghair tamache lagaye jaate hai
aseer kar ke khule sar phiraye jaate hai
rahun to kaise yahan par koi yateem na ho
sakina kehti thi ro kar...
khabar nahi thi ke yateemon pa kya guzarti hai
jo aarzu hai wo seene mein aah bharti hai
na guzre aisi kisi par koi yateem na ho
sakina kehti thi ro kar...
bhulaun kaise ke nakhre mere uthaate thay
mai rooth jaati thi baba mujhe manaate thay
ye kehte hai wohi manzar koi yateem na ho
sakina kehti thi ro kar...
bade sukoon se soti thi raat bhar jis par
wo mere baba ka seena wo phoolon ka bistar
nahi hai aaj meinassar koi yateem na ho
sakina kehti thi ro kar...
layeen se bachne ka ab koi raasta bhi nahi
hai zakhm gehre meinassar koi dawa bhi nahi
guzar rahi hai tadap kar koi yateem na ho
sakina kehti thi ro kar...
bhala dabaun kahan tak mai apni aahon ko
taras gayi hoo mohabbat bhari nigahon ko
har ek saans hai dubhar koi yateem na ho
sakina kehti thi ro kar...
ye sochti hoo ke baba ki jab rifaqat thi
aseer karta mujhe kis mein itni himmat thi
na dekhti mai ye manzar koi yateem na ho
sakina kehti thi ro kar...
khiza ne ghayr liya shaah ki bahaaron ko
kuch is tareekhe se cheena hai goshwaron ko
hain kaan khoon se mere tar koi yateem na ho
sakina kehti thi ro kar...
koi nigaah e mohabbat se dekhta hi nahi
hai umr choti koi itna sochta bhi nahi
hai sang dil ye sitamgar koi yateem na ho
sakina kehti thi ro kar...
yateem hone ke ek ye bhi saza shayad
mere naseeb mein ab ghar nahi bada shayad
hai jeena marna yahin par koi yateem na ho
sakina kehti thi ro kar...
raza ye kehti thi dukhiya bahot hai hum par sitam
madad ko aaiye baba nikal na jaaye dam
yehi fughan thi labon par koi yateem na ho
sakina kehti thi ro kar...