Kanz e Aza

Sakina ki Thi Ye

A noha for Shehzadi Sakina (s.a), written by Raza Ali Khan Lakhnavi. Lyrics in Roman Urdu.

sakina ki thi ye fughan zuljana

hai baba hamare kahan zuljana


gaye jab se baba ko tum le ke maidan

hai aankhon se aansu rawan zuljana

sakina ki thi ye...


akela padar ko kahan chod aaye

karo kuch to mujhse bayan zuljana

sakina ki thi ye...


mujhe unke pehlu mein jaa kar sula do

ke soye hai baba jahan zuljana

sakina ki thi ye...


gaya jo bhi maidan mein palta nahi hai

ye kaisa sitam hai yahan zuljana

sakina ki thi ye...


mere waaste ab andhere hai har soo

hai ghamgeen zameen aasman zuljana

sakina ki thi ye...


abhi tak wo kaano mein goonji hui hai

jo akbar ne di thi azan zuljana

sakina ki thi ye...


na hai paas ammu na hai paas akbar

na jhoole mein hai bezaban zuljana

sakina ki thi ye...


jalate hai aada qayaam e hussaini

utha phir dilon se dhuan zuljana

sakina ki thi ye...


bahot tu bhi pyasa hai mai jaanti hoo

hai pani pe pehra yahan zuljana

sakina ki thi ye...


chaman saara ujda shah e karbala ka

ye aayi hai kaisi khiza zuljana

sakina ki thi ye...


suna hai ke akbar bhi jannat sidhare

kaleje pa kha kar sina zuljana

sakina ki thi ye...


raza ke liye tu dua itni kar de

milay us ko raahe jinaa zuljana

sakina ki thi ye...